Hazrat Jundub bin Abdullah (R.A.) se rivayat hai ke Nabi-e-Kareem (S.A.W.) ne farmaya:
"Tum se pehle qoumo mei ek shakhs tha jo zakhmi ho gaya, aur dard se tang aa kar us ne ek chaqu (knife) liya aur apna haath kaat diya, aur khoon behna band na hua jab tak ke uski maut nahi ho gayi. Allah ne farmaya, Mere bande ne maut jaldi laane ki koshish ki, is liye maine uspar jannat ko haram kar diya.'" (Sahih Al-Bukhari: 3463)
Islam mei khudkushi karna haram hai. Tum ye keh sakte ho ke ('mujhe apne aap ko qatal karne ki azadi hai.') Nahi, tumhare paas ye haq nahi hai, kyun ke tum Allah ke bande ho. Tumhari maut tumhare apne haath se nahi honi chahiye aur na hi kisi aur ko qatal karna chahiye. Islam mei khudkushi aur kisi ko qatal karna, dono hi na-qabool hai. Jo qatil hai, wo bara gunahgar hai aur duniya mei uski saza qatal hai, aur aakhirat mei uska maqam dozakh hai. Jo shakhs khudkushi karta hai uske liye bhi dozakh mei azaab tay hai.
Khudkushi ek bhada gunaah hai, aur jo is ka irtikab karta hai, us ke liye dozakh ke azaab ka waeed hai, jahan Allah usko ussi tareeqe se azaab dega jis tareeqe se us ne khudkushi ki thi. Hazrat Abu Hurayrah (R.A.) se bhi ek hadith mei rivayat hai ke Nabi-e-Kareem (S.A.W.) ne farmaya:
"Jo shakhs apne aap ko kisi pahad se gira kar khudkhushi karta hai, wo hamesha ke liye dozakh mein ussi tarah gira kar azaab bhugtega. Jo shakhs zehar pee kar apni jaan leta hai, wo dozakh mein hamesha ke liye usi zehar ko peeta rahega. Aur jo shakhs kisi lohay ke hissan se apna pait chhant (chirna) kar apni jaan leta hai, wo hamesha ke liye ussi lohay ko apne pait mein ghonpta rahega." (Sahih Bukhari: 5778)
Kia iska Kafara hai ?
Khudkushi ka koi kafara nahi hai jo insaan ke is gunaah ko maaf kar sake, kyun ke khud apni jaan lena Allah ki marzi ke khilaf hai. Allah Ta'ala hi zindagi dene wala aur lene wala hai, aur kisi shakhs ko apni marzi se zindagi khatam karne ka ikhtiyar nahi.
Islam ke nazar mei, khudkushi itna bara gunaah hai ke jo shakhs iska irtikab karta hai, wo Allah ke sakht azaab ka mustahiq hota hai. Jaise pehle zikar ki gayi Hadithon mein bayan kiya gaya hai, khudkushi karne wale ko ussi cheez se dozakh mein azaab diya jaye ga jis se us ne apni jaan li thi.
Agar koi shakhs khudkushi ka irada kare ya khudkushi ke bare mein soch raha ho, to usko foran Allah se tauba karni chahiye, apni zindagi ki qadr karni chahiye, aur apne dukh ya mushkilat ko sabr aur dua ke zariye Allah ke hawale karna chahiye. Allah Ta'ala apne bandon ki tauba qubool farmata hai agar insaan dil se tauba kare aur apne gunah par nadamat ka izhar kare.