Qiyaam ul layl Matlab tahajjud? Yaa qiyaam ul layl ka koi tareeqa hai specific?
Je to dono mei thoda farq hai, Qiyam-ul-Layl ka matlab hai raat ki ibadat chahe wo namaz ho, Quran ki tilaawat ho, dua ho, ya Allah ka zikr ho. Ismei Tahajjud bhi shamil hai, magar yeh sirf Tahajjud tak mehdoood nahi. ap Isha ke baad kisi bhi waqt Qiyam-ul-Layl kar sakte.
Aur raat ke aakhri hissay mein uth kar (Nafl) namaz ada karo, taake tumhara Rab tumhein Maqam-e-Mahmood (tareef ke maqam) par pohncha de. Surah Al-Isra 17:79
Usman bin Affan (رضي الله عنه) se riwayat hai ke:
Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya: Jo shakhs Isha ki namaz jama'at mein padhta hai, to usay aadhi raat qiyam karne ka sawab milta hai. Aur jo Isha aur Fajr dono jama'at mein padhta hai, to usay poori raat qiyam karne ka ajar milta hai.
Tahajjud ka Mayni aur Tareeqa, Tahajjud Qiyam-ul-Layl ka ek khaas hissa hai. Yeh raat ke aakhri hisay mei uth kar padhi jati hai, sone ke baad. Tahajjud ki kam az kam 2 rakat aur maximum 8, 10 ya 12 rakat hoti hain, ismein duayein aur istighfar bhi kiya jata hai.
(Woh apne bistar chhorh kar apne Rab ko umeed aur dar ke saath pukarte hain, aur jo kuch humne unhein diya hai us mei se kharch karte hain.) Quran32:16
Kya Qiyam-ul-Layl ka Koi Specific Tareeqa Hai? G han Isha ke baad kisi bhi waqt ibadat karna Qiyam-ul-Layl hai. Tahajjud sirf sone ke baad uth kar padhi jati hai. Agar aap Tahajjud nahi parh sakte to Isha ke baad bhi kuch Nafl parh sakte hain, yeh bhi Qiyam-ul-Layl hoga. Shab-e-Qadr aur Ramzan ke Mahine mei Taraweeh bhi Qiyam-ul-Layl mei shamil hai.
Abu Huraira (رضي الله عنه) se riwayat hai:
Nabi (ﷺ) ne farmaya: "Jo shakhs Ramadan ke mahine mein iman aur sawab ki niyat se roza rakhta hai, uske pichle tamam gunah maaf kar diye jate hain. Aur jo shakhs Lailatul Qadr ki raat iman aur sawab ki niyat se qayam karta hai, uske bhi pichle tamam gunah maaf kar diye jate hain. (Volume 3, Book 32, Number 231:)
Abu Huraira (رضي الله عنه) se riwayat hai:
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
Hamare Rab, jo Muqaddas aur Azeem hai, har raat sabse neeche waale asmaan par utarta hai jab raat ka aakhri tisra hissa baqi hota hai, aur farmata hai: 'Koi hai jo Mujh se dua kare taake main uski dua qubool karoon? Koi hai jo Mujh se maange taake main usay ata karoon? Koi hai jo Mujh se maghfirat chahe taake main usay maaf kar doon?
Al-Mughira (رضي الله عنه) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) namaz mein itna khade rehte ke unke paon ya tangain soojh jaati thi. Unse poocha gaya ke aap itni mushkil aur thakan dene wali namaz kyun padhte hain, to aap (ﷺ) ne jawab diya: 'Kya main apne Rab ka shukriya ada karne wala banda na banu?
Abu Huraira (رضي الله عنه) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya:
Bandah apne Rab ke sabse qareeb us waqt hota hai jab wo sajda kar raha hota hai, to is waqt mei dua kiya karo.
Aakhir mei, hum sab ko yeh samajhna chahiye ke Qiyam-ul-Layl aur Tahajjud Allah ki qurbat aur uski rehmat hasil karne ka ek azeem zariya hain. Yeh waqt hai jab hum apne Rab ke saath apna rishta mazboot karte hain, apne gunoahon ki maafi maangte hain, aur apni duaoon ko qubool karne ka waqt hota hai. Namaz aur ibadat humare dil ko sukoon aur roshni deti hai, aur hum apne Rab ki rehmat aur fazal ki taraf apna rasta apnate hain.
Ya Allah, hum teri rahmat aur fazal ke mohtaaj hain. Humare gunoahon ko maaf farma, humari ibadat aur duaon ko apni qubooliyat se nawaz. Humein apni ibadat mein istiqamat de, apne zikr se hamare dil ko roshan kar, aur humein apni qurbat aur maafi ki dawat de. Ya Allah, hum tujh se apni roohaniyat aur apni dunya ki behtari ki dua karte hain. Humare dilon ko apni taraf se sukoon aur sakoon de, aur humein apni ibadat mein kamiyabi ata farma. Ameen.
May Allah Subhanahu Wa Ta'ala accept all of our prayers and grant us the ability to remain steadfast in worship, seeking His mercy and forgiveness at all times.